tujhko chhu kar halal kar dun kya
tujh ko chhū kar halāl kar duuñ kyā
aaj maiñ ye kamāl kar duuñ kyā
jis kā saanī na ho zamāne meñ
maiñ tumheñ be-misāl kar duuñ kyā
tum ḳhayāloñ meñ apne gum ho to
sirf apnā ḳhayāl kar duuñ kyā
kar ke va.ada kabhī nahīñ aate
hijr ko bhī visāl kar duuñ kyā
qatl kī hai mire tumheñ ḳhvāhish
ḳhuun tum par halāl kar duuñ kyā
yuuñ na itrāo merī qurbat meñ
phir kaho pur-malāl kar duuñ kyā
log kahte haiñ lā-javāb ho tum
tum kaho ik savāl kar duuñ kyā
tujh ko chhu kar halal kar dun kya
aaj main ye kamal kar dun kya
jis ka sani na ho zamane mein
main tumhein be-misal kar dun kya
tum KHayalon mein apne gum ho to
sirf apna KHayal kar dun kya
kar ke wada kabhi nahin aate
hijr ko bhi visal kar dun kya
qatl ki hai mere tumhein KHwahish
KHun tum par halal kar dun kya
yun na itrao meri qurbat mein
phir kaho pur-malal kar dun kya
log kahte hain la-jawab ho tum
tum kaho ek sawal kar dun kya
- Book : آہٹ دیوان عزیز (Pg. 76)
- Author : ارشاد عزیز
- Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.