tujhko dekha to ye laga hai mujhe
tujh ko dekhā to ye lagā hai mujhe
ishq sadiyoñ se jāntā hai mujhe
āshnā saḌkeñ ajnabī chehre
shahr meñ aur kyā dikhā hai mujhe
log qīmat mirī lagāte haiñ
kis jagah tū ne rakh diyā hai mujhe
sub.h ruḳhsat kare makāñ merā
shaam ko ḳhud hī DhūñDhtā hai mujhe
rat-jago tum hī kuchh batāo ab
ishq to hai hī aur kyā hai mujhe
maiñ bhī kyā dūsroñ ke jaisā huuñ
ḳhud ko bāhar se dekhnā hai mujhe
baat sach hai magar kahūñ kaise
tishnagī ne Dubo diyā hai mujhe
mauj-dar-mauj miT rahā huuñ maiñ
kaun sāhil pe likh gayā hai mujhe
kis liye roz jaag jaatā huuñ
kaun hai jis kā Dar lagā hai mujhe
tujh ko dekha to ye laga hai mujhe
ishq sadiyon se jaanta hai mujhe
aashna saDken ajnabi chehre
shahr mein aur kya dikha hai mujhe
log qimat meri lagate hain
kis jagah tu ne rakh diya hai mujhe
subh ruKHsat kare makan mera
sham ko KHud hi DhunDhta hai mujhe
rat-jago tum hi kuchh batao ab
ishq to hai hi aur kya hai mujhe
main bhi kya dusron ke jaisa hun
KHud ko bahar se dekhna hai mujhe
baat sach hai magar kahun kaise
tishnagi ne Dubo diya hai mujhe
mauj-dar-mauj miT raha hun main
kaun sahil pe likh gaya hai mujhe
kis liye roz jag jata hun
kaun hai jis ka Dar laga hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.