tujhko gila hai tera muqaddar nahin hua
tujh ko gila hai terā muqaddar nahīñ huā
maiñ apne-āp ko bhī mayassar nahīñ huā
honā na honā maiñ ne rakhā apne haath meñ
dam-bhar jahāñ meñ ho gayā dam-bhar nahīñ huā
pahle to qīl-o-qāl meñ hotā nahīñ thā maiñ
phir yuuñ huā ki harf se bāhar nahīñ huā
āñkhoñ ko us kā dekhnā manzūr bhī nahīñ
nāzir hī jo rahā kabhī manzar nahīñ huā
sochā ki apne jism se bāhar bhī ho rahūñ
maiñ uTh ke ḳhaak se bhī huā par nahīñ huā
āḳhir mujhe sarāb ne sairāb kar diyā
maiñ jo samundaroñ se kabhī tar nahīñ huā
hotā rahā vahī jo nahīñ honā chāhiye
honā jo chāhiye thā vo aksar nahīñ huā
ghūmā to apne aap talak aa ke ruk gayā
maiñ dā.era to ho gayā chakkar nahīñ huā
sab ko dikhā.ī de gayā vo husn-e-be-zuhūr
sab par ye lutf ho gayā mujh par nahīñ huā
maiñ kah sakūñ ki dahr meñ vo bhī hai maiñ bhī huuñ
itnā yaqīn mujh ko mayassar nahīñ huā
dastak bhī de ke dekh lī sar bhī paTaḳh liyā
dīvār hī rahā vo kabhī dar nahīñ huā
ġhārat-garī ko dekh ke ahl-e-yaqīn kī
maiñ dekhtā huuñ us ko jo kāfar nahīñ huā
pahlī nazar ko us ne bhī dekhā na ġhaur se
ham se bhī iltifāt mukarrar nahīñ huā
patthar-mizāj hai to miyāñ sang-e-mīl ban
jo rāste meñ ho ke bhī Thokar nahīñ huā
āhista-rau vo aaj bhī apnī ravish pe hai
sab yaar tez ho ga.e 'nayyar' nahīñ huā
tujh ko gila hai tera muqaddar nahin hua
main apne-ap ko bhi mayassar nahin hua
hona na hona main ne rakha apne hath mein
dam-bhar jahan mein ho gaya dam-bhar nahin hua
pahle to qil-o-qal mein hota nahin tha main
phir yun hua ki harf se bahar nahin hua
aankhon ko us ka dekhna manzur bhi nahin
nazir hi jo raha kabhi manzar nahin hua
socha ki apne jism se bahar bhi ho rahun
main uTh ke KHak se bhi hua par nahin hua
aaKHir mujhe sarab ne sairab kar diya
main jo samundaron se kabhi tar nahin hua
hota raha wahi jo nahin hona chahiye
hona jo chahiye tha wo aksar nahin hua
ghuma to apne aap talak aa ke ruk gaya
main daera to ho gaya chakkar nahin hua
sab ko dikhai de gaya wo husn-e-be-zuhur
sab par ye lutf ho gaya mujh par nahin hua
main kah sakun ki dahr mein wo bhi hai main bhi hun
itna yaqin mujh ko mayassar nahin hua
dastak bhi de ke dekh li sar bhi paTaKH liya
diwar hi raha wo kabhi dar nahin hua
ghaarat-gari ko dekh ke ahl-e-yaqin ki
main dekhta hun us ko jo kafar nahin hua
pahli nazar ko us ne bhi dekha na ghaur se
hum se bhi iltifat mukarrar nahin hua
patthar-mizaj hai to miyan sang-e-mil ban
jo raste mein ho ke bhi Thokar nahin hua
aahista-rau wo aaj bhi apni rawish pe hai
sab yar tez ho gae 'nayyar' nahin hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.