tujhko hajat hai kis bahane ki
tujh ko hājat hai kis bahāne kī
merī nazroñ se duur jaane kī
rasm anjām de rahī huuñ maiñ
dushmanoñ ko gale lagāne kī
raat din ye duā.eñ karte haiñ
ghar meñ mehmāñ hamāre aane kī
ye to aadat mirī purānī hai
aap apne ko bhuul jaane kī
ho ke maġhmūm ai 'sarāhat' kyoñ
baat kartī ho muskurāne kī
tujh ko hajat hai kis bahane ki
meri nazron se dur jaane ki
rasm anjam de rahi hun main
dushmanon ko gale lagane ki
raat din ye duaen karte hain
ghar mein mehman hamare aane ki
ye to aadat meri purani hai
aap apne ko bhul jaane ki
ho ke maghmum ai 'sarahat' kyon
baat karti ho muskurane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.