tujhko hai mujhse pyar kabhi etiraf kar
tujh ko hai mujh se pyaar kabhī e'tirāf kar
yā kaun hai pasand ye tasvīr saaf kar
mere qarīb aa ke gale lag jā merī jaan
kuchh aur tere man meñ hai to inhirāf kar
kyuuñ ik zarā sī baat pe nārāz mujh se hai
maiñ ne ḳhatā qubūl kī tū ab muaaf kar
tere ġhamoñ ko raat kā bistar banā luuñ maiñ
merī ḳhushī ko le ke inheñ tū lihāf kar
chalnā hai zindagī ke safar meñ to saath chal
chalnā hai kitnī duur talak inkishāf kar
ummīd har kisī se lagānā fuzūl hai
tū jis ko chāhtā hai usī kā tavāf kar
tujh ko hai mujh se pyar kabhi e'tiraf kar
ya kaun hai pasand ye taswir saf kar
mere qarib aa ke gale lag ja meri jaan
kuchh aur tere man mein hai to inhiraf kar
kyun ek zara si baat pe naraaz mujh se hai
main ne KHata qubul ki tu ab muaf kar
tere ghamon ko raat ka bistar bana lun main
meri KHushi ko le ke inhen tu lihaf kar
chalna hai zindagi ke safar mein to sath chal
chalna hai kitni dur talak inkishaf kar
ummid har kisi se lagana fuzul hai
tu jis ko chahta hai usi ka tawaf kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.