tujhko humne sanam KHuda samjha
tujh ko ham ne sanam ḳhudā samjhā
kitne nādāñ the kyā ko kyā samjhā
bevafā hote haiñ sunā thā but
haa.e tujh ko thā kyoñ judā samjhā
ham chhupāte rahe hunar apne
un ke har 'aib ko adā samjhā
qatl hākim ke thā ishāre par
'aam logoñ ne hādisa samjhā
kis qadar sāda-dil 'sadā' niklā
jo taġhāful ko bhī hayā samjhā
tujh ko hum ne sanam KHuda samjha
kitne nadan the kya ko kya samjha
bewafa hote hain suna tha but
hae tujh ko tha kyon juda samjha
hum chhupate rahe hunar apne
un ke har 'aib ko ada samjha
qatl hakim ke tha ishaare par
'am logon ne hadisa samjha
kis qadar sada-dil 'sada' nikla
jo taghaful ko bhi haya samjha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.