tujhko kho dene ka ehsas hua tere baad
tujh ko kho dene kā ehsās huā tere ba.ad
DhūñDhtā phirtā huuñ ab terā pata tere ba.ad
phir kisī aur se kī arz-e-tamannā na kabhī
mujh meñ armān na phir koī jagā tere ba.ad
biich raste meñ hameñ chhoḌ ke jaane vaale
e'timād ham ne kisī par na kiyā tere ba.ad
chalte phirte hue patthar haiñ yahāñ ke insāñ
kaun samjhegā bhalā dard mirā tere ba.ad
gardish-e-vaqt jise toḌ nahīñ paa.ī thī
dekh vo shaḳhs bhī ab TuuT gayā tere ba.ad
chāhne vaale mire aur bahut the lekin
maiñ kisī aur kā ho hī na sakā tere ba.ad
phailtā jaatā hai har samt añdherā 'sāgar'
zindagī jaise ho ik bujhtā diyā tere ba.ad
tujh ko kho dene ka ehsas hua tere baad
DhunDhta phirta hun ab tera pata tere baad
phir kisi aur se ki arz-e-tamanna na kabhi
mujh mein arman na phir koi jaga tere baad
bich raste mein hamein chhoD ke jaane wale
e'timad hum ne kisi par na kiya tere baad
chalte phirte hue patthar hain yahan ke insan
kaun samjhega bhala dard mera tere baad
gardish-e-waqt jise toD nahin pai thi
dekh wo shaKHs bhi ab TuT gaya tere baad
chahne wale mere aur bahut the lekin
main kisi aur ka ho hi na saka tere baad
phailta jata hai har samt andhera 'sagar'
zindagi jaise ho ek bujhta diya tere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.