tujhko KHud apne hi sae pe guman guzra hai
tujhko KHud apne hi sae pe guman guzra hai
Mohammed Nabi Khan Jamal Soveda
MORE BYMohammed Nabi Khan Jamal Soveda
tujh ko ḳhud apne hī saa.e pe gumāñ guzrā hai
terā vahshī tire kūche se kahāñ guzrā hai
jhilmilāne lage fānūs tirī mahfil ke
koī parvāna magar sho.ala-ba-jāñ guzrā hai
naġhmagī nāla-e-hijrāñ maiñ kahāñ se lā.ūñ
soz-e-dil sāz-e-bahārāñ se kahāñ guzrā hai
phuul gulshan meñ jigar-chāk nazar aate haiñ
sarv ke saa.e pe zindāñ kā gumāñ guzrā hai
ġham kī jhankār meñ shāmil thī shikast-e-dil bhī
mere nāloñ pe taġhazzul kā gumāñ guzrā hai
TimTimāte hue dekhe haiñ sitāroñ ke charāġh
kahkashāñ se abhī insān kahāñ guzrā hai
tujh ko KHud apne hi sae pe guman guzra hai
tera wahshi tere kuche se kahan guzra hai
jhilmilane lage fanus teri mahfil ke
koi parwana magar shoala-ba-jaan guzra hai
naghmagi nala-e-hijran main kahan se laun
soz-e-dil saz-e-bahaaran se kahan guzra hai
phul gulshan mein jigar-chaak nazar aate hain
sarw ke sae pe zindan ka guman guzra hai
gham ki jhankar mein shamil thi shikast-e-dil bhi
mere nalon pe taghazzul ka guman guzra hai
TimTimate hue dekhe hain sitaron ke charagh
kahkashan se abhi insan kahan guzra hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.