tujhko kis munh se bewafa kahiye
tujh ko kis muñh se bevafā kahiye
koī pūchhe sabab to kyā kahiye
ham se kuchh vaqt par na ban aa.ī
le ga.e dil vo muft kyā kahiye
mujh ko samjhā ke gāliyāñ diije
fiqra fiqra judā judā kahiye
na maiñ āshiq na aap ko kyā huuñ
ġhair se apnā mudda.ā kahiye
jaan detā huuñ kis ḳhushī se maiñ
aaj to aap marhabā kahiye
aa.ina maiñ dikhā ke kahtā huuñ
aap hī haiñ ki dūsrā kahiye
ab na kiije muue pe sau durre
ab na āshiq ko bā-vafā kahiye
tujh ko kis munh se bewafa kahiye
koi puchhe sabab to kya kahiye
hum se kuchh waqt par na ban aai
le gae dil wo muft kya kahiye
mujh ko samjha ke galiyan dije
fiqra fiqra juda juda kahiye
na main aashiq na aap ko kya hun
ghair se apna muddaa kahiye
jaan deta hun kis KHushi se main
aaj to aap marhaba kahiye
aaina main dikha ke kahta hun
aap hi hain ki dusra kahiye
ab na kije mue pe sau durre
ab na aashiq ko ba-wafa kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.