tujhko kya malum kin unchaiyon mein kho gaya
tujh ko kyā mā'lūm kin ūñchā.iyoñ meñ kho gayā
jab tirī yādoñ kī maiñ gahrā.iyoñ meñ kho gayā
jannatoñ se ho gayā mahrūm to hairat hai kyoñ
tū bhī to duniyā kī in rā'nā.iyoñ meñ kho gayā
dil meñ tere bin yahāñ kohrām o mātam barpā hai
aur tū hai ki vahāñ shahnā.iyoñ meñ kho gayā
haañ vahī mā'sūm jo thā amn kā paiġhāmbar
jaane kyoñ ab mā'rka-ārā.iyoñ meñ kho gayā
mujh se kyā matlab ki vo qahhār hai jabbār hai
maiñ to bas us kī karam-farmā.iyoñ meñ kho gayā
kis qadar ġham se bharī us kī kahānī hai ki jo
dushmanoñ meñ thā numāyāñ bhā.iyoñ meñ kho gayā
har ghaḌī rahtā thā jis ke saath ik jamm-e-ġhafīr
aaj vo bhī qabr kī tanhā.iyoñ meñ kho gayā
laa.e the jis ko banā kar ham sharīk-e-anjuman
vo bhī apne 'āshiqoñ shaidā.iyoñ meñ kho gayā
tujh ko kya ma'lum kin unchaiyon mein kho gaya
jab teri yaadon ki main gahraiyon mein kho gaya
jannaton se ho gaya mahrum to hairat hai kyon
tu bhi to duniya ki in ra'naiyon mein kho gaya
dil mein tere bin yahan kohram o matam barpa hai
aur tu hai ki wahan shahnaiyon mein kho gaya
han wahi ma'sum jo tha amn ka paighambar
jaane kyon ab ma'rka-araiyon mein kho gaya
mujh se kya matlab ki wo qahhaar hai jabbar hai
main to bas us ki karam-farmaiyon mein kho gaya
kis qadar gham se bhari us ki kahani hai ki jo
dushmanon mein tha numayan bhaiyon mein kho gaya
har ghaDi rahta tha jis ke sath ek jamm-e-ghafir
aaj wo bhi qabr ki tanhaiyon mein kho gaya
lae the jis ko bana kar hum sharik-e-anjuman
wo bhi apne 'ashiqon shaidaiyon mein kho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.