tujhko lagta hai to han Thik hai man-mani hai
tujhko lagta hai to han Thik hai man-mani hai
Dheerendra Singh Faiyaz
MORE BYDheerendra Singh Faiyaz
tujh ko lagtā hai to haañ Thiik hai man-mānī hai
mujhe ab baat samajhnī hai na samjhānī hai
varna vo ḳhvāb ki tā-umr na so.e koī
niiñd aa jaatī hai is baat kī āsānī hai
sat.h meñ is kī sivā ret ke ab kuchh bhī nahīñ
ya.anī rone ke liye aañkh meñ bas paanī hai
tajraba us ko bhī kuchh ḳhaas nahīñ duniyā kā
ḳhaak ham ne bhī zamāne kī nahīñ chhānī hai
mere chehre pe yahī dekh ke bikhrī muskān
maiñ pareshān huuñ aur us ko pareshānī hai
ishq meñ itnī suhūlat bhī nahīñ pāoge
jaan par ban paḌī to jaan chalī jaanī hai
ham kahāñ ruuh kī bātoñ meñ ulajh jaate haiñ
darmiyāñ apne ta.alluq bhī to jismānī hai
tujh ko lagta hai to han Thik hai man-mani hai
mujhe ab baat samajhni hai na samjhani hai
warna wo KHwab ki ta-umr na soe koi
nind aa jati hai is baat ki aasani hai
sath mein is ki siwa ret ke ab kuchh bhi nahin
yani rone ke liye aankh mein bas pani hai
tajraba us ko bhi kuchh KHas nahin duniya ka
KHak hum ne bhi zamane ki nahin chhani hai
mere chehre pe yahi dekh ke bikhri muskan
main pareshan hun aur us ko pareshani hai
ishq mein itni suhulat bhi nahin paoge
jaan par ban paDi to jaan chali jaani hai
hum kahan ruh ki baaton mein ulajh jate hain
darmiyan apne talluq bhi to jismani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.