tujhko mushkil nahin mushkil meri aasan kar de
tujh ko mushkil nahīñ mushkil mirī āsāñ kar de
ḳhaak ke zarre ko ham-dosh-e-sulaimāñ kar de
mere a.amāl nahīñ lā.eq-e-baḳhshish hargiz
tū jo chāhe to mire dard kā darmāñ kar de
haif ab zillat-o-ḳhvārī ke sivā kuchh bhī nahīñ
yā-ilāhī hameñ pahlā sā musalmāñ kar de
rabb-e-hājāt hameñ nisbat-e-kāmil ho atā
ham ko ā.īn-e-sadāqat kā nigahbāñ kar de
tere mahbūb kā aa.iin hai ain-e-fitrat
is meñ tarmīm ke tālib ko pashemāñ kar de
dīn-e-haq kī maiñ hifāzat karūñ dil se har dam
mere ḳhāliq mire īmāñ ko farozāñ kar de
kashtī-e-jāñ ko kināre se lagāne ke liye
ham meñ har fard ke īmāñ ko farozāñ kar de
tujh ko mushkil nahin mushkil meri aasan kar de
KHak ke zarre ko ham-dosh-e-sulaiman kar de
mere aamal nahin laeq-e-baKHshish hargiz
tu jo chahe to mere dard ka darman kar de
haif ab zillat-o-KHwari ke siwa kuchh bhi nahin
ya-ilahi hamein pahla sa musalman kar de
rabb-e-hajat hamein nisbat-e-kaamil ho ata
hum ko aain-e-sadaqat ka nigahban kar de
tere mahbub ka aain hai ain-e-fitrat
is mein tarmim ke talib ko pasheman kar de
din-e-haq ki main hifazat karun dil se har dam
mere KHaliq mere iman ko farozan kar de
kashti-e-jaan ko kinare se lagane ke liye
hum mein har fard ke iman ko farozan kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.