tujhko pa kar bhi gharq-e-yas mila
tujh ko pā kar bhī ġharq-e-yās milā
dil hī kam-baḳht nā-sipās milā
husn-e-ālam meñ aur kyā hotā
husn-e-ālam to tere paas milā
uf re jaldī adam se aane kī
jis ko dekhā vo be-libās milā
hijr meñ zikr-e-vasl-e-yār to chheḌ
talḳhī-e-ġham meñ kuchh miThās milā
aa dikhā.ūñ tujhe bhī jalva-e-dost
merī āñkhoñ meñ apnī pyaas milā
jis pe takiya huā muqaddar kā
vo sitāra hī be-asās milā
baat kā izn-e-ām thā 'ejāz'
par kise harf-e-iltimās milā
tujh ko pa kar bhi gharq-e-yas mila
dil hi kam-baKHt na-sipas mila
husn-e-alam mein aur kya hota
husn-e-alam to tere pas mila
uf re jaldi adam se aane ki
jis ko dekha wo be-libas mila
hijr mein zikr-e-wasl-e-yar to chheD
talKHi-e-gham mein kuchh miThas mila
aa dikhaun tujhe bhi jalwa-e-dost
meri aankhon mein apni pyas mila
jis pe takiya hua muqaddar ka
wo sitara hi be-asas mila
baat ka izn-e-am tha 'ejaz'
par kise harf-e-iltimas mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.