tujhko pane ki ye hasrat mujhe le Dubegi
tujh ko paane kī ye hasrat mujhe le Dūbegī
lag rahā hai ki mohabbat mujhe le Dūbegī
hālat-e-ishq meñ huuñ aur ye hālat hai ki ab
ek lamhe kī bhī fursat mujhe le Dūbegī
ab maiñ samjhā huuñ ki ye dard-e-mohabbat kyā hai
ye tire pyaar kī shiddat mujhe le Dūbegī
merī betābi-e-dil chain na lene degī
terī ḳhāmosh tabī.at mujhe le Dūbegī
terī āñkhoñ ke samundar meñ ḳhayāloñ kī tarah
Duub jaane kī ye aadat mujhe le Dūbegī
Dūbtī nabz kahīñ kā nahīñ chhoḌegī mujhe
dard le Dūbegā vahshat mujhe le Dūbegī
terī āñkhoñ kā ye jaadū kahīñ le jā.egā
ye tirī saada sī sūrat mujhe le Dūbegī
tere ashkoñ se kaleja mirā kaT jā.egā
merī hassās tabī.at mujhe le Dūbegī
har qadam par maiñ tirā bojh uThā.ūñ kaise
zindagī terī zarūrat mujhe le Dūbegī
tujh ko pane ki ye hasrat mujhe le Dubegi
lag raha hai ki mohabbat mujhe le Dubegi
haalat-e-ishq mein hun aur ye haalat hai ki ab
ek lamhe ki bhi fursat mujhe le Dubegi
ab main samjha hun ki ye dard-e-mohabbat kya hai
ye tere pyar ki shiddat mujhe le Dubegi
meri betabi-e-dil chain na lene degi
teri KHamosh tabiat mujhe le Dubegi
teri aankhon ke samundar mein KHayalon ki tarah
Dub jaane ki ye aadat mujhe le Dubegi
Dubti nabz kahin ka nahin chhoDegi mujhe
dard le Dubega wahshat mujhe le Dubegi
teri aankhon ka ye jadu kahin le jaega
ye teri sada si surat mujhe le Dubegi
tere ashkon se kaleja mera kaT jaega
meri hassas tabiat mujhe le Dubegi
har qadam par main tera bojh uThaun kaise
zindagi teri zarurat mujhe le Dubegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.