tujhko socha to kho gain aankhen
tujh ko sochā to kho ga.iiñ āñkheñ
dil kā ā.īna ho ga.iiñ āñkheñ
ḳhat kā paḌhnā bhī ho gayā mushkil
saarā kāġhaz bhigo ga.iiñ āñkheñ
kitnā gahrā hai ishq kā dariyā
is kī tah meñ Dubo ga.iiñ āñkheñ
koī jugnū nahīñ tasavvur kā
kitnī vīrān ho ga.iiñ āñkheñ
do diloñ ko nazar ke dhāge se
ik laḌī meñ piro ga.iiñ āñkheñ
raat kitnī udaas baiThī hai
chāñd niklā to so ga.iiñ āñkheñ
'naqsh' ābād kyā hue sapne
aur barbād ho ga.iiñ āñkheñ
tujh ko socha to kho gain aankhen
dil ka aaina ho gain aankhen
KHat ka paDhna bhi ho gaya mushkil
sara kaghaz bhigo gain aankhen
kitna gahra hai ishq ka dariya
is ki tah mein Dubo gain aankhen
koi jugnu nahin tasawwur ka
kitni viran ho gain aankhen
do dilon ko nazar ke dhage se
ek laDi mein piro gain aankhen
raat kitni udas baiThi hai
chand nikla to so gain aankhen
'naqsh' aabaad kya hue sapne
aur barbaad ho gain aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.