tujhko sochon mein basa kar shaeri karta hun main
tujh ko sochoñ meñ basā kar shā.erī kartā huuñ maiñ
zehn-o-dil kī vādiyoñ meñ raushnī kartā huuñ maiñ
maiñ tirā 'rāñjhā' tū merī hiir hai jān-e-ġhazal
chhoḌ kar har kaam terī chākarī kartā huuñ maiñ
apne dil ke har varaq par naam likh likh kar tirā
pesh tujh ko dhaḌkanoñ kī Diary kartā huuñ maiñ
Duub kar ḳhvāboñ meñ tere kho ke terī yaad meñ
roz-o-shab apnī ḳhudī ko be-ḳhudī kartā huuñ maiñ
is bulandī par mujhe laa.ī hai terī āshiqī
band āñkhoñ se tirā dīdār bhī kartā huuñ maiñ
hādsoñ meñ jhoñk detā huuñ maiñ apne aap ko
is tarah ḳhud se kabhī ḳhud dil-lagī kartā huuñ maiñ
tujh ko sochon mein basa kar shaeri karta hun main
zehn-o-dil ki wadiyon mein raushni karta hun main
main tera 'ranjha' tu meri hir hai jaan-e-ghazal
chhoD kar har kaam teri chaakari karta hun main
apne dil ke har waraq par nam likh likh kar tera
pesh tujh ko dhaDkanon ki Diary karta hun main
Dub kar KHwabon mein tere kho ke teri yaad mein
roz-o-shab apni KHudi ko be-KHudi karta hun main
is bulandi par mujhe lai hai teri aashiqi
band aankhon se tera didar bhi karta hun main
hadson mein jhonk deta hun main apne aap ko
is tarah KHud se kabhi KHud dil-lagi karta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.