tujhko sochon to tere jism ki KHushbu aae
tujh ko sochoñ to tire jism kī ḳhushbū aa.e
merī ġhazloñ meñ alāmat kī tarah tū aa.e
maiñ tujhe chheḌ ke ḳhāmosh rahūñ sab boleñ
bātoñ bātoñ meñ koī aisā bhī pahlū aa.e
qarz hai mujh pe bahut raat kī tanhā.ī kā
mere kamre meñ koī chāñd na jugnū aa.e
lag ke soī hai koī raat mire siine se
subah ho jaa.e ki jazbāt pe qaabū aa.e
chāhtā huuñ ki mirī pyaas kā mātam yuuñ ho
phir na is dasht meñ mujh sā koī aahū aa.e
us kā paikar ka.ī qistoñ meñ chhape novel sā
kabhī chehra kabhī āñkheñ kabhī gesū aa.e
phir mujhe vazn kiyā jaa.e shahādat ke liye
phir adālat meñ koī le ke tarāzū aa.e
ab ke mausam meñ ye dīvār bhī gir jaa.e 'shakīl'
is tarah jism kī buniyād meñ aañsū aa.e
tujh ko sochon to tere jism ki KHushbu aae
meri ghazlon mein alamat ki tarah tu aae
main tujhe chheD ke KHamosh rahun sab bolen
baaton baaton mein koi aisa bhi pahlu aae
qarz hai mujh pe bahut raat ki tanhai ka
mere kamre mein koi chand na jugnu aae
lag ke soi hai koi raat mere sine se
subah ho jae ki jazbaat pe qabu aae
chahta hun ki meri pyas ka matam yun ho
phir na is dasht mein mujh sa koi aahu aae
us ka paikar kai qiston mein chhape nowel sa
kabhi chehra kabhi aankhen kabhi gesu aae
phir mujhe wazn kiya jae shahadat ke liye
phir adalat mein koi le ke taraazu aae
ab ke mausam mein ye diwar bhi gir jae 'shakil'
is tarah jism ki buniyaad mein aansu aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.