tujhko sochun main su-ba-su ho kar
tujh ko sochūñ maiñ sū-ba-sū ho kar
maiñ to bas rah ga.ī huuñ tū ho kar
ye tire lams kā karishma hai
phail jaatī huuñ rañg-o-bū ho kar
tū na ho to maiñ bāñjh miTTī huuñ
raakh ho jā.ūñ be-numū ho kar
hai tirī qaid meñ hī āzādī
Dhāñp le mujh ko chaar sū ho kar
aa.ina huuñ tire vajūd kā maiñ
aa kabhī dekh rū-ba-rū ho kar
'nāz' ke lab pe har ghaḌī raqsāñ
tū hī rahtā hai guftugū ho kar
tujh ko sochun main su-ba-su ho kar
main to bas rah gai hun tu ho kar
ye tere lams ka karishma hai
phail jati hun rang-o-bu ho kar
tu na ho to main banjh miTTi hun
rakh ho jaun be-numu ho kar
hai teri qaid mein hi aazadi
Dhanp le mujh ko chaar su ho kar
aaina hun tere wajud ka main
aa kabhi dekh ru-ba-ru ho kar
'naz' ke lab pe har ghaDi raqsan
tu hi rahta hai guftugu ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.