tujhko takta rahta hun
tujh ko taktā rahtā huuñ
maiñ bhī tere jaisā huuñ
vo miTTī ho jaatā hai
jis ko haath lagātā huuñ
maiñ miTTī ke ḳhvāboñ se
ishq banā ke baiThā huuñ
aap ko chhāñv mubārak ho
maiñ to peḌ ugātā huuñ
maiñ kāñch kā chhoTā sā ghar
kis ke liye banātā huuñ
koī mujh se baat kare
har ik kā muñh taktā huuñ
tum hī tum to hote ho
jab maiñ ḳhud meñ hotā huuñ
tujh ko takta rahta hun
main bhi tere jaisa hun
wo miTTi ho jata hai
jis ko hath lagata hun
main miTTi ke KHwabon se
ishq bana ke baiTha hun
aap ko chhanw mubarak ho
main to peD ugata hun
main kanch ka chhoTa sa ghar
kis ke liye banata hun
koi mujh se baat kare
har ek ka munh takta hun
tum hi tum to hote ho
jab main KHud mein hota hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.