tujhko to malum tha mere yar udasi hai
tujh ko to ma.alūm thā mere yaar udāsī hai
tujh se hī to ham kahte the yaar udāsī hai
tere hissa meñ avval ḳhushiyāñ hoñgī shāyad
par mere hissa meñ pahle yaar udāsī hai
mere paas nahīñ hai koī tere paas huuñ maiñ
phir terī āñkhoñ meñ kaise yaar udāsī hai
ḳhud ko hañstā jab bhī dekhūñ ro detā huuñ maiñ
chhā.ī is darje kī mujh pe yaar udāsī hai
jis ko gumāñ ho mere yuuñ be-bāt hī hañsne pe
vo merī āñkhoñ meñ dekhe yaar udāsī hai
jo sāvan hote sūkhā us phuul pe la.anat ho
mujh pe la.anat tere hote yaar udāsī hai
tujh ko hañstā dekh ke hī to zinda haiñ sab log
tujh se koī kaise kah de yaar udāsī hai
isī udāsī ne ḳhush-nazarī kī dī hai sauġhāt
dekho to kahne ko vaise yaar udāsī hai
tujh ko to malum tha mere yar udasi hai
tujh se hi to hum kahte the yar udasi hai
tere hissa mein awwal KHushiyan hongi shayad
par mere hissa mein pahle yar udasi hai
mere pas nahin hai koi tere pas hun main
phir teri aankhon mein kaise yar udasi hai
KHud ko hansta jab bhi dekhun ro deta hun main
chhai is darje ki mujh pe yar udasi hai
jis ko guman ho mere yun be-baat hi hansne pe
wo meri aankhon mein dekhe yar udasi hai
jo sawan hote sukha us phul pe lanat ho
mujh pe lanat tere hote yar udasi hai
tujh ko hansta dekh ke hi to zinda hain sab log
tujh se koi kaise kah de yar udasi hai
isi udasi ne KHush-nazari ki di hai saughat
dekho to kahne ko waise yar udasi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.