tujh mein us gul se rang-o-bu kam hai
tujh meñ us gul se rang-o-bū kam hai
vo ziyāda hai is meñ tū kam hai
ho koī kyoñ muġhāñ kā minnat-kash
apnā piine ko kyā lahū kam hai
dil se insān ke ye hotī kab
havas-o-hirs-o-ārzū kam hai
ahl-e-ġhairat ko ai falak kyā kuchh
marg hai minnat-e-adū kam hai
dekh kar us bahār-e-ḳhūbī ko
ho gayā gul kā rang-o-bū kam hai
baat baaqī hai aur kaun sī 'aish'
kyā huī us se guftugū kam hai
tujh mein us gul se rang-o-bu kam hai
wo ziyaada hai is mein tu kam hai
ho koi kyon mughan ka minnat-kash
apna pine ko kya lahu kam hai
dil se insan ke ye hoti kab
hawas-o-hirs-o-arzu kam hai
ahl-e-ghairat ko ai falak kya kuchh
marg hai minnat-e-adu kam hai
dekh kar us bahaar-e-KHubi ko
ho gaya gul ka rang-o-bu kam hai
baat baqi hai aur kaun si 'aish'
kya hui us se guftugu kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.