tujh par fida hain hum teri taswir dekh kar
tujh par fida hain hum teri taswir dekh kar
Ahmad Masood Quraishi
MORE BYAhmad Masood Quraishi
tujh par fidā haiñ ham tirī tasvīr dekh kar
ham ḳhush haiñ apnī achchhī ye taqdīr dekh kar
dekhā hai tum ne muskurā ke phir sanam hameñ
ham hosh meñ nahīñ haiñ ye tāsīr dekh kar
vaadī hasīn hai baḌī dekhī hai jis ne bhī
gaatā hai naġhme dil mirā kashmīr dekh kar
rab ne kahā hai kyā hameñ ma.alūm phir huā
samjhā hai ham ne diin ko tafsīr dekh kar
paa.ī hai us ne apnī ḳhushī ye pata chalā
chehre pe us ke chamkī vo tanvīr dekh kar
tujh par fida hain hum teri taswir dekh kar
hum KHush hain apni achchhi ye taqdir dekh kar
dekha hai tum ne muskura ke phir sanam hamein
hum hosh mein nahin hain ye tasir dekh kar
wadi hasin hai baDi dekhi hai jis ne bhi
gata hai naghme dil mera kashmir dekh kar
rab ne kaha hai kya hamein malum phir hua
samjha hai hum ne din ko tafsir dekh kar
pai hai us ne apni KHushi ye pata chala
chehre pe us ke chamki wo tanwir dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.