tujh pe hum ek kitab likh baiThe
tujh pe ham ik kitāb likh baiThe
is ko kār-e-savāb likh baiThe
dostoñ ke sulūk ko bhī ham
aaj koī azaab likh baiThe
us ko likhnā thā kam-nazar lekin
haa.e ālī-janāb likh baiThe
ham ko likhnī thī ik ġhazal lekin
apne ġham kā hisāb likh baiThe
terī qāmat kī baat jab aa.ī
husn kā ik nisāb likh baiThe
garche ḳhat kā hai intizār abhī
phir bhī ham haiñ javāb likh baiThe
ḳhat meñ alqāb us ko ai 'ḳhushtar'
taaza rañgīñ gulāb likh baiThe
tujh pe hum ek kitab likh baiThe
is ko kar-e-sawab likh baiThe
doston ke suluk ko bhi hum
aaj koi azab likh baiThe
us ko likhna tha kam-nazar lekin
hae aali-janab likh baiThe
hum ko likhni thi ek ghazal lekin
apne gham ka hisab likh baiThe
teri qamat ki baat jab aai
husn ka ek nisab likh baiThe
garche KHat ka hai intizar abhi
phir bhi hum hain jawab likh baiThe
KHat mein alqab us ko ai 'KHushtar'
taza rangin gulab likh baiThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.