tujh pe har haal mein marna chahun
tujh pe har haal meñ marnā chāhūñ
maiñ to ye kaam hī karnā chāhūñ
hāsil-e-zīst hai jurm-e-ulfat
mar ke bhī maiñ na mukarnā chāhūñ
apne uslūb meñ chāhūñ jiinā
apne andāz meñ marnā chāhūñ
mutavajjah kare koī to use
misl-e-gul maiñ bhī nikharnā chāhūñ
kitnā mahdūd huā jaatā huuñ
maiñ ki har had se guzarnā chāhūñ
ek jugnū huuñ magar dekh andāz
sub.h kī tarah bikharnā chāhūñ
sūrat-e-naġhma-e-jāñ ai 'rūhī'
maiñ tire dil meñ utarnā chāhūñ
tujh pe har haal mein marna chahun
main to ye kaam hi karna chahun
hasil-e-zist hai jurm-e-ulfat
mar ke bhi main na mukarna chahun
apne uslub mein chahun jina
apne andaz mein marna chahun
mutawajjah kare koi to use
misl-e-gul main bhi nikharna chahun
kitna mahdud hua jata hun
main ki har had se guzarna chahun
ek jugnu hun magar dekh andaz
subh ki tarah bikharna chahun
surat-e-naghma-e-jaan ai 'ruhi'
main tere dil mein utarna chahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.