tujh pe kya KHak ai zamin hota
tujh pe kya KHak ai zamin hota
Basheerunnisaa Begam Basheer
MORE BYBasheerunnisaa Begam Basheer
tujh pe kyā ḳhaak ai zamīñ hotā
ham na hote to kuchh nahīñ hotā
na ye duniyā meñ shorisheñ hotīñ
aur na ye zauq-e-āñ-o-īñ hotā
zindagī naam hai taḌapne kā
jab sukūñ ho sukūñ nahīñ hotā
hashr sau baar rūnumā hotā
dil ko āñkhoñ pe gar yaqīñ hotā
kis qadar dil-navāz manzar hai
kaash barjā dil-e-hazīñ hotā
kuchh baḌī baat thī yadullāhī
tujh ko apne pe gar yaqīñ hotā
aage charche the jin kī bātoñ ke
un kā ab zikr tak nahīñ hotā
dil meñ aglī sī baat gar hotī
harf-e-nā-ḳhvāñda dil-nashīñ hotā
gardish-e-charḳh kah rahī hai bashīr
jazb-e-kāmil se kyā nahīñ hotā
tujh pe kya KHak ai zamin hota
hum na hote to kuchh nahin hota
na ye duniya mein shorishen hotin
aur na ye zauq-e-an-o-in hota
zindagi nam hai taDapne ka
jab sukun ho sukun nahin hota
hashr sau bar runuma hota
dil ko aankhon pe gar yaqin hota
kis qadar dil-nawaz manzar hai
kash barja dil-e-hazin hota
kuchh baDi baat thi yadullahi
tujh ko apne pe gar yaqin hota
aage charche the jin ki baaton ke
un ka ab zikr tak nahin hota
dil mein agli si baat gar hoti
harf-e-na-KHwanda dil-nashin hota
gardish-e-charKH kah rahi hai bashir
jazb-e-kaamil se kya nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.