tujh qaba par gulab ka buTa
tujh qabā par gulāb kā buuTā
dil-e-bulbul goyā abhī TuuTā
sach kahūñ ahd hai tirā jhūTā
tū salāmat rahe ye dil TuuTā
ḳhat ne zulfoñ kā qatl-e-ām kiyā
fauj-e-nādir ne hind ko luuTā
dil havā bū-e-gul sā sahrā.ī
jab vo panje se ġhunche ke chhūTā
tujh qaba par gulab ka buTa
dil-e-bulbul goya abhi TuTa
sach kahun ahd hai tera jhuTa
tu salamat rahe ye dil TuTa
KHat ne zulfon ka qatl-e-am kiya
fauj-e-nadir ne hind ko luTa
dil hawa bu-e-gul sa sahrai
jab wo panje se ghunche ke chhuTa
- Deewan-e-uzlat(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.