tujh qad ki ada sarw-e-gulistan sin kahunga
tujh qad kī adā sarv-e-gulistāñ siiñ kahūñgā
jādū-e-nayan nargis-e-bustāñ siiñ kahūñgā
dekhā huuñ tire lab pe maiñ missī kī dhaḌī kuuñ
zulmāt pe jā chashma-e-haivāñ siiñ kahūñgā
mujh dil kī lagan tujh siiñ hai ai ḳhūbī-e-mahfil
parvāna naman sham-e-shabistāñ siiñ kahūñgā
paidā kiyā tujh shauq meñ dil vus.at-e-mashrab
yuuñ hālat-e-dil koh-o-bayābāñ siiñ kahūñgā
dekhā huuñ tujhe ḳhvāb munīñ ai parī-paikar
is ḳhvāb ke ta.iiñ jā ke sulaimāñ siiñ kahūñgā
ḳhanjar siiñ nayan ke dil-e-'yakrū' huā zaḳhmī
ab dil kī tapish ḳhāk-e-shahīdāñ siiñ kahūñgā
tujh qad ki ada sarw-e-gulistan sin kahunga
jadu-e-nayan nargis-e-bustan sin kahunga
dekha hun tere lab pe main missi ki dhaDi kun
zulmat pe ja chashma-e-haiwan sin kahunga
mujh dil ki lagan tujh sin hai ai KHubi-e-mahfil
parwana naman sham-e-shabistan sin kahunga
paida kiya tujh shauq mein dil wusat-e-mashrab
yun haalat-e-dil koh-o-bayaban sin kahunga
dekha hun tujhe KHwab munin ai pari-paikar
is KHwab ke tain ja ke sulaiman sin kahunga
KHanjar sin nayan ke dil-e-'yakru' hua zaKHmi
ab dil ki tapish KHak-e-shahidan sin kahunga
- Book : diwan-e-yakro (Pg. 12)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.