tujh sa milega man na koi moatabar mujhe
tujh sā milegā maañ na koī mo'atabar mujhe
rahne de zer-e-pā tū yuuñ hī umr bhar mujhe
mujh ko guzārtī rahī maazī kī rahguzar
hasrat se dekhtā rahā miTTī kā ghar mujhe
merī sadā.eñ barsar-e-mahfil na jab rahīñ
duniyā ne tanhā chhoḌ diyā ḳhaak par mujhe
ik sher jaane kis ke tasavvur meñ kah diyā
barsoñ pukārtā rahā merā hunar mujhe
'hassān' qatl-o-ḳhūn ke manzar pe kyā likhūñ
har sar dikhā.ī detā hai apnā hī sar mujhe
tujh sa milega man na koi mo'atabar mujhe
rahne de zer-e-pa tu yun hi umr bhar mujhe
mujh ko guzarti rahi mazi ki rahguzar
hasrat se dekhta raha miTTi ka ghar mujhe
meri sadaen barsar-e-mahfil na jab rahin
duniya ne tanha chhoD diya KHak par mujhe
ek sher jaane kis ke tasawwur mein kah diya
barson pukarta raha mera hunar mujhe
'hassan' qatl-o-KHun ke manzar pe kya likhun
har sar dikhai deta hai apna hi sar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.