tujhse ab rishta nibhana bhi nahin chahta hai
tujh se ab rishta nibhānā bhī nahīñ chāhtā hai
dil tujhe chhoḌ ke jaanā bhī nahīñ chāhtā hai
ye ajab baat hai vo merā talabgār bhī hai
aur mujhe apnā banānā bhī nahīñ chāhtā hai
tū mujhe chhoḌ rahā hai to shikāyat kaisī
tū mirā ho ye zamāna bhī nahīñ chāhtā hai
vo agar ruuTh gayā hai to use jaane do
ab ye dil us ko manānā bhī nahīñ chāhtā hai
tujh ko fursat hī nahīñ hai to koī baat nahīñ
hāl-e-dil koī sunānā bhī nahīñ chāhtā hai
zulm-e-bātil kī shikāyat bhī sabhī ke lab par
aur koī sang uThānā bhī nahīñ chāhtā hai
maiñ tire naam se rusvā huuñ mujhe fikr nahīñ
dil kahīñ aur Thikānā bhī nahīñ chāhtā hai
jis qadar TuuT ke chāhā hai use maiñ ne 'farāz'
is tarah koī divāna bhī nahīñ chāhtā hai
tujh se ab rishta nibhana bhi nahin chahta hai
dil tujhe chhoD ke jaana bhi nahin chahta hai
ye ajab baat hai wo mera talabgar bhi hai
aur mujhe apna banana bhi nahin chahta hai
tu mujhe chhoD raha hai to shikayat kaisi
tu mera ho ye zamana bhi nahin chahta hai
wo agar ruTh gaya hai to use jaane do
ab ye dil us ko manana bhi nahin chahta hai
tujh ko fursat hi nahin hai to koi baat nahin
haal-e-dil koi sunana bhi nahin chahta hai
zulm-e-baatil ki shikayat bhi sabhi ke lab par
aur koi sang uThana bhi nahin chahta hai
main tere nam se ruswa hun mujhe fikr nahin
dil kahin aur Thikana bhi nahin chahta hai
jis qadar TuT ke chaha hai use main ne 'faraaz'
is tarah koi diwana bhi nahin chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.