tujhse ai husn pyar kaun kare
tujh se ai husn pyaar kaun kare
apnā dil sogvār kaun kare
jis pe maġhrib hai gāmzan ai dost
vo ravish iḳhtiyār kaun kare
dil lagāne kī kis ko fursat hai
jaan tum par nisār kaun kare
sach ke bāzār ko sajānā hai
kaam ye shāndār kaun kare
mā-sivā mere ishq kā dariyā
is zamāne meñ paar kaun kare
koī chehra-shanās bhī to nahīñ
dard ko āshkār kaun kare
apnī duniyā meñ mast haiñ sab hī
qaum ko hoshiyār kaun kare
tum tabassum bikher do jānāñ
sub.h kā intizār kaun kare
dil umangoñ se jab ye kHālī hai
mauj-e-gul kā hisār kaun kare
ḳhud ko ai 'shād' is zamāne meñ
is qadar ḳhāksār kaun kare
tujh se ai husn pyar kaun kare
apna dil sogwar kaun kare
jis pe maghrib hai gamzan ai dost
wo rawish iKHtiyar kaun kare
dil lagane ki kis ko fursat hai
jaan tum par nisar kaun kare
sach ke bazar ko sajaana hai
kaam ye shandar kaun kare
ma-siwa mere ishq ka dariya
is zamane mein par kaun kare
koi chehra-shanas bhi to nahin
dard ko aashkar kaun kare
apni duniya mein mast hain sab hi
qaum ko hoshiyar kaun kare
tum tabassum bikher do jaanan
subh ka intizar kaun kare
dil umangon se jab ye kHali hai
mauj-e-gul ka hisar kaun kare
KHud ko ai 'shad' is zamane mein
is qadar KHaksar kaun kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.