tujhse baDh kar nigah-e-lutf-o-ata kis ki thi
tujh se baḌh kar nigah-e-lutf-o-atā kis kī thī
is kī ta.abīr magar mere ḳhudā kis kī thī
shahr ke shor meñ sahrāoñ ke sannāTe meñ
maiñ khaḌā soch rahā huuñ ki sadā kis kī thī
maiñ ne ḳhud apne lahū se ye chaman sīñchā thā
mujh se ab pūchh rahe ho ki ḳhatā kis kī thī
maiñ ki ā.īna thā phir sañg-e-malāmat kaisā
dil-e-ḳhūñ-gashta meñ tasvīr-e-butāñ kis kī thī
ab ḳhad-o-ḳhāl naqāboñ meñ nahīñ chhup sakte
jism ḳhud chīḳh uThegā ki qabā kis kī thī
apne lahje meñ koī rañg bharo yā na bharo
log pahchān ga.e tarz-e-adā kis kī thī
tujh se baDh kar nigah-e-lutf-o-ata kis ki thi
is ki tabir magar mere KHuda kis ki thi
shahr ke shor mein sahraon ke sannaTe mein
main khaDa soch raha hun ki sada kis ki thi
main ne KHud apne lahu se ye chaman sincha tha
mujh se ab puchh rahe ho ki KHata kis ki thi
main ki aaina tha phir sang-e-malamat kaisa
dil-e-KHun-gashta mein taswir-e-butan kis ki thi
ab KHad-o-KHal naqabon mein nahin chhup sakte
jism KHud chiKH uThega ki qaba kis ki thi
apne lahje mein koi rang bharo ya na bharo
log pahchan gae tarz-e-ada kis ki thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.