tujhse bichhaD ke hum bhi muqaddar ke ho gae
tujh se bichhaḌ ke ham bhī muqaddar ke ho ga.e
phir jo bhī dar milā hai usī dar ke ho ga.e
phir yuuñ huā ki ġhair ko dil se lagā liyā
andar vo nafrateñ thiiñ ki bāhar ke ho ga.e
kyā log the ki jaan se baḌh kar aziiz the
ab dil se mahv naam bhī aksar ke ho ga.e
ai yaad yaar tujh se kareñ kyā shikāyateñ
ai dard-e-hijr ham bhī to patthar ke ho ga.e
samjhā rahe the mujh ko sabhī nāsehān-e-shahr
phir rafta rafta ḳhud usī kāfar ke ho ga.e
ab ke na intizār kareñ chāragar ki ham
ab ke ga.e to kū-e-sitamgar ke ho ga.e
rote ho ik jazīra-e-jāñ ko 'farāz' tum
dekho to kitne shahr samundar ke ho ga.e
tujh se bichhaD ke hum bhi muqaddar ke ho gae
phir jo bhi dar mila hai usi dar ke ho gae
phir yun hua ki ghair ko dil se laga liya
andar wo nafraten thin ki bahar ke ho gae
kya log the ki jaan se baDh kar aziz the
ab dil se mahw nam bhi aksar ke ho gae
ai yaad yar tujh se karen kya shikayaten
ai dard-e-hijr hum bhi to patthar ke ho gae
samjha rahe the mujh ko sabhi nasehan-e-shahr
phir rafta rafta KHud usi kafar ke ho gae
ab ke na intizar karen chaaragar ki hum
ab ke gae to ku-e-sitamgar ke ho gae
rote ho ek jazira-e-jaan ko 'faraaz' tum
dekho to kitne shahr samundar ke ho gae
- Book : kulliyat ahmad fara (Pg. 57)
- Publication : Fareed Book Depo Delhi (2010)
- Edition : IIIrd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.