tujhse bichhaD ke yun to bahut ji udas hai
tujh se bichhaḌ ke yuuñ to bahut jī udaas hai
lekin ye lag rahā hai ki tū mere paas hai
dariyā dikhā.ī detā hai har ek reg-zār
shāyad ki in dinoñ mujhe shiddat kī pyaas hai
hairat se sab ko takte haiñ patthar bane hue
jādūgaroñ ke shahr meñ apnā nivās hai
tum ko sunā rahā hai latīfe jo raat din
vo aadmī to tum se ziyāda udaas hai
vīrāñ hai merā ghar bhī usī tarah dosto
college meñ jis tarah koī urdu class hai
pūchho koī savāl milegā ġhalat javāb
'vālī' har ek shaḳhs yahāñ bad-havās hai
tujh se bichhaD ke yun to bahut ji udas hai
lekin ye lag raha hai ki tu mere pas hai
dariya dikhai deta hai har ek reg-zar
shayad ki in dinon mujhe shiddat ki pyas hai
hairat se sab ko takte hain patthar bane hue
jadugaron ke shahr mein apna niwas hai
tum ko suna raha hai latife jo raat din
wo aadmi to tum se ziyaada udas hai
viran hai mera ghar bhi usi tarah dosto
college mein jis tarah koi urdu class hai
puchho koi sawal milega ghalat jawab
'wali' har ek shaKHs yahan bad-hawas hai
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 105)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.