tujhse bichhDunga tere dhyan mein rah jaunga
tujh se bichhḌūñgā tire dhyān meñ rah jā.ūñgā
maiñ rihā ho ke bhī zindān meñ rah jā.ūñgā
vo guzar jā.egā sau rāste kar ke lekin
maiñ kahīñ va.ada-o-paimān meñ rah jā.ūñgā
bāñjh peḌoñ ko na kāTegā koī dast-e-ajal
maiñ ki phaldār huuñ nuqsān meñ rah jā.ūñgā
ek lamha vo pazīrā.ī karegā aur maiñ
umr-bhar sāya-e-ehsān meñ rah jā.ūñgā
aag ke phuul to bujh jā.eñge lekin 'shahzād'
maiñ sulagtā huā gul-dān meñ rah jā.ūñgā
tujh se bichhDunga tere dhyan mein rah jaunga
main riha ho ke bhi zindan mein rah jaunga
wo guzar jaega sau raste kar ke lekin
main kahin wada-o-paiman mein rah jaunga
banjh peDon ko na kaTega koi dast-e-ajal
main ki phaldar hun nuqsan mein rah jaunga
ek lamha wo pazirai karega aur main
umr-bhar saya-e-ehsan mein rah jaunga
aag ke phul to bujh jaenge lekin 'shahzad'
main sulagta hua gul-dan mein rah jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.