tujhse bigDi jo zara mein apni
tujh se bigḌī jo zarā meñ apnī
sub.heñ apnī haiñ na shāmeñ apnī
aap ne bhī na manāyā āḳhir
qaid the ham bhī anā meñ apnī
dost haiñ apne mehrbāñ kitne
sañg-bārī hai dishā meñ apnī
kaun kaise girā de dhoke se
thāme rahiyegā lagāmeñ apnī
roz uThtā hai janāza apnā
roz jalte haiñ chitā meñ apnī
aur baaqī bachā hai kyā 'fārūq'
tujh ko māñgā jo du'ā meñ apnī
tujh se bigDi jo zara mein apni
subhen apni hain na shamen apni
aap ne bhi na manaya aaKHir
qaid the hum bhi ana mein apni
dost hain apne mehrban kitne
sang-bari hai disha mein apni
kaun kaise gira de dhoke se
thame rahiyega lagamen apni
roz uThta hai janaza apna
roz jalte hain chita mein apni
aur baqi bacha hai kya 'faruq'
tujh ko manga jo du'a mein apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.