tujhse gar wo dila nahin milta
tujh se gar vo dilā nahīñ miltā
zahr bhī tujh ko kyā nahīñ miltā
jis ko vo zulf maar Daale hai
sar-e-mū ḳhūñ-bahā nahīñ miltā
aur sab kuchh mile hai duniyā meñ
lekin ik āshnā nahīñ miltā
dil-e-dīvāna raat se gum hai
kahīñ us kā patā nahīñ miltā
shaiḳh kalabe se uTh nikal bāhar
ghar meñ baiThe ḳhudā nahīñ miltā
dard-o-ġham ko bhī hai nasība shart
ye bhī qismat sivā nahīñ miltā
ik ne pūchhā ye 'mus.hafī' se bhalā
kyuuñ tū ai bevafā nahīñ miltā
hañs ke bolā ki o miyāñ us se
kyā karūñ dil mirā nahīñ miltā
tujh se gar wo dila nahin milta
zahr bhi tujh ko kya nahin milta
jis ko wo zulf mar Dale hai
sar-e-mu KHun-baha nahin milta
aur sab kuchh mile hai duniya mein
lekin ek aashna nahin milta
dil-e-diwana raat se gum hai
kahin us ka pata nahin milta
shaiKH kalabe se uTh nikal bahar
ghar mein baiThe KHuda nahin milta
dard-o-gham ko bhi hai nasiba shart
ye bhi qismat siwa nahin milta
ek ne puchha ye 'mushafi' se bhala
kyun tu ai bewafa nahin milta
hans ke bola ki o miyan us se
kya karun dil mera nahin milta
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(awwa) (Pg. 82)
- Author : ghulaam hamdaanii mashafii
- Publication : qaumi council baraye -farogh urdu (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.