tujhse ham-dam mujhko ulfat hai bahut
tujh se ham-dam mujh ko ulfat hai bahut
terī ulfat vaj.h-e-rāhat hai bahut
tum abhī to aa.e ho mere qarīb
kis liye jaane kī ujlat hai bahut
sūrat-e-parvāna miT jā.ūñgā maiñ
mujh meñ miT jaane kī himmat hai bahut
tere ruḳh se maañg laa.e haiñ nikhār
is liye phūloñ meñ rangat hai bahut
bastiyoñ meñ aa ga.e haiñ bheḌiye
shahr meñ har samt dahshat hai bahut
'dāġh' baaqī hai abhī kyā barhamī
zulm kī mujh par jo shiddat hai bahut
tujh se ham-dam mujh ko ulfat hai bahut
teri ulfat wajh-e-rahat hai bahut
tum abhi to aae ho mere qarib
kis liye jaane ki ujlat hai bahut
surat-e-parwana miT jaunga main
mujh mein miT jaane ki himmat hai bahut
tere ruKH se mang lae hain nikhaar
is liye phulon mein rangat hai bahut
bastiyon mein aa gae hain bheDiye
shahr mein har samt dahshat hai bahut
'dagh' baqi hai abhi kya barhami
zulm ki mujh par jo shiddat hai bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.