tujhse hargiz bhi adawat main nahin kar sakta
tujh se hargiz bhī adāvat maiñ nahīñ kar saktā
ab kisī aur kī chāhat maiñ nahīñ kar saktā
paḌh chukā had se ziyāda maiñ namāzeñ dukh kī
is se baḌh kar to ibādat maiñ nahīñ kar saktā
dil ko but-ḳhāna banā kar maiñ tujhe sajde karūñ
apne rab se ye baġhāvat maiñ nahīñ kar saktā
chappe chappe pe hoñ tahrīr qiyām aur sujūd
yā-ḳhudā itnī riyāzat maiñ nahīñ kar saktā
tū to is vaqt kā mansūr hai ab mere 'nadīm'
terī bātoñ kī himāyat maiñ nahīñ kar saktā
tujh se hargiz bhi adawat main nahin kar sakta
ab kisi aur ki chahat main nahin kar sakta
paDh chuka had se ziyaada main namazen dukh ki
is se baDh kar to ibaadat main nahin kar sakta
dil ko but-KHana bana kar main tujhe sajde karun
apne rab se ye baghawat main nahin kar sakta
chappe chappe pe hon tahrir qiyam aur sujud
ya-KHuda itni riyazat main nahin kar sakta
tu to is waqt ka mansur hai ab mere 'nadim'
teri baaton ki himayat main nahin kar sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.