tujhse hi mere dil ke chaman mein bahaar hai
tujh se hī mere dil ke chaman meñ bahār hai
tū jān-e-ārzū hai mujhe tujh se pyaar hai
mansūb kar chukā huuñ tire naam se use
ye zindagī jo ġham se tire ham-kanār hai
mādūm ho chukī hai sitāroñ kī raushnī
kyoñ tark-e-intizār pe bhī intizār hai
shāyad vo aa hī jaa.e ai 'shahzād' dam to le
dhaḌkan hai tez dil kī ye dil be-qarār hai
tujh se hi mere dil ke chaman mein bahaar hai
tu jaan-e-arzu hai mujhe tujh se pyar hai
mansub kar chuka hun tere nam se use
ye zindagi jo gham se tere ham-kanar hai
madum ho chuki hai sitaron ki raushni
kyon tark-e-intizar pe bhi intizar hai
shayad wo aa hi jae ai 'shahzad' dam to le
dhaDkan hai tez dil ki ye dil be-qarar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.