tujhse hi sab bahaar hai mere dost
tujh se hī sab bahār hai mire dost
tū hī dil kā qarār hai mire dost
terī yādoñ se dil huā ābād
varna ujḌā dayār hai mire dost
lutf ke saa.e meñ mujhe rakh le
dhuup hai regzār hai mire dost
tū hai sar chaḌh ke boltā jaadū
tū sarāpā ḳhumār hai mire dost
mujh se ābād hai jo tanhā.ī
zindagī kā siñghār hai mire dost
duniyā kuchh bhī kahe magar 'jāzib'
vaqt be-e'tibār hai mire dost
tujh se hi sab bahaar hai mere dost
tu hi dil ka qarar hai mere dost
teri yaadon se dil hua aabaad
warna ujDa dayar hai mere dost
lutf ke sae mein mujhe rakh le
dhup hai regzar hai mere dost
tu hai sar chaDh ke bolta jadu
tu sarapa KHumar hai mere dost
mujh se aabaad hai jo tanhai
zindagi ka singhaar hai mere dost
duniya kuchh bhi kahe magar 'jazib'
waqt be-e'tibar hai mere dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.