tujhse ho pae agar surat-e-ijad mein la
tujh se ho paa.e agar sūrat-e-ījād meñ lā
apnī vahshat ko kabhī ḳhāna-e-ābād meñ lā
ret kī tarh sitāre nazar ā.eñge tujhe
toḌ kar in ko falak se dil-e-barbād meñ lā
tū agar chāhe badan merā zamīñ-bos na ho
āḳhirī iiñT uThā kar mirī buniyād meñ lā
naqsh apnā tire chehre pe maiñ chhoḌ aayā huuñ
aa.ina dekh mirī jaan mujhe yaad meñ lā
tujh ko aanā to bahar-taur hai merī jānib
apne aane ko mirī 'umr kī mī'ād meñ lā
tujh se ho pae agar surat-e-ijad mein la
apni wahshat ko kabhi KHana-e-abaad mein la
ret ki tarh sitare nazar aaenge tujhe
toD kar in ko falak se dil-e-barbaad mein la
tu agar chahe badan mera zamin-bos na ho
aaKHiri inT uTha kar meri buniyaad mein la
naqsh apna tere chehre pe main chhoD aaya hun
aaina dekh meri jaan mujhe yaad mein la
tujh ko aana to bahar-taur hai meri jaanib
apne aane ko meri 'umr ki mi'ad mein la
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.