tujhse jab tak is tarah apni shanasai na thi
tujh se jab tak is tarah apnī shanāsā.ī na thī
apne ghar jaisī to sahrā meñ bhī tanhā.ī na thī
ab to rashk aatā hai ḳhud apne hī jumloñ par hameñ
is se pahle thī magar ye shān-e-goyā.ī na thī
ab mujhe kyoñ apne mustaqbil kā aatā hai ḳhayāl
aaj tak shāyad mire hamrāh dānā.ī na thī
tajraboñ ke vāste kuchh laġhzishoñ kī chhūT hai
ab maiñ samjhā kyoñ mujhe har baat samjhā.ī na thī
ālam-e-hairat meñ guzre haiñ vahāñ se bhī jahāñ
zindagī apnī tarah be-aks-o-be-ā.īna thī
vo kahāñ hai manzaroñ meñ DhūñDte ho tum jise
ghar se kyoñ nikle the jab nazroñ meñ ra.anā.ī na thī
tujh se milne tak na thā ḳhud-e'timādī kā patā
aur kuchh apnī tabī.at ne jilā paa.ī na thī
vaise to ab tak banā.īñ kitnī tasvīreñ 'rabāb'
shauq kī had tak magar rangoñ meñ gahrā.ī na thī
tujh se jab tak is tarah apni shanasai na thi
apne ghar jaisi to sahra mein bhi tanhai na thi
ab to rashk aata hai KHud apne hi jumlon par hamein
is se pahle thi magar ye shan-e-goyai na thi
ab mujhe kyon apne mustaqbil ka aata hai KHayal
aaj tak shayad mere hamrah danai na thi
tajrabon ke waste kuchh laghzishon ki chhuT hai
ab main samjha kyon mujhe har baat samjhai na thi
aalam-e-hairat mein guzre hain wahan se bhi jahan
zindagi apni tarah be-aks-o-be-aina thi
wo kahan hai manzaron mein DhunDte ho tum jise
ghar se kyon nikle the jab nazron mein ranai na thi
tujh se milne tak na tha KHud-e'timadi ka pata
aur kuchh apni tabiat ne jila pai na thi
waise to ab tak banain kitni taswiren 'rabab'
shauq ki had tak magar rangon mein gahrai na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.