tujhse main mujhse aashna tum ho
tujh se maiñ mujh se āshnā tum ho
maiñ huuñ ḳhushbū magar havā tum ho
maiñ likhāvaT tumhāre hāthoñ kī
merī taqdīr kā likhā tum ho
tum agar sach ho, maiñ bhī jhuuT nahīñ
aks maiñ, merā aa.ina tum ho
be-ḳhudī ne mirā bharam toḌā
maiñ samajhtā rahā ḳhudā tum ho
maiñ huuñ mujrim, mire ho munsif tum
maiñ ḳhatā huuñ, mirī sazā tum ho
siip kī aas ban ke chāhūñ tumheñ
laa.e jo motī vo ghaTā tum ho
apnī majbūriyoñ kā rañj nahīñ
bevafā maiñ huuñ, bā-vafā tum ho
rog ban kar paḌā huā hai 'kañval'
tum davā ho, mirī duā tum ho
tujh se main mujh se aashna tum ho
main hun KHushbu magar hawa tum ho
main likhawaT tumhaare hathon ki
meri taqdir ka likha tum ho
tum agar sach ho, main bhi jhuT nahin
aks main, mera aaina tum ho
be-KHudi ne mera bharam toDa
main samajhta raha KHuda tum ho
main hun mujrim, mere ho munsif tum
main KHata hun, meri saza tum ho
sip ki aas ban ke chahun tumhein
lae jo moti wo ghaTa tum ho
apni majburiyon ka ranj nahin
bewafa main hun, ba-wafa tum ho
rog ban kar paDa hua hai 'kanwal'
tum dawa ho, meri dua tum ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.