tujhse mile baghair ye mujhko pata na tha
tujh se mile baġhair ye mujh ko patā na thā
vasl-o-firāq kyā hai ye maiñ jāntā na thā
āzād ho gayā maiñ jahāñ ke ḳhayāl se
lekin tirā ḳhayāl mujhe chhoḌtā na thā
maiñ us ko dekhtā thā baḌe ishtiyāq se
lekin kabhī vo merī taraf dekhtā na thā
tum kyā ḳhafā hue ki ḳhafā ho gayā jahāñ
jab tum ḳhafā na the to koī bhī ḳhafā na thā
ik terī yaad hī thī mirī manzil-e-talab
varna safar meñ koī mirā rahnumā na thā
mahrūmiyāñ likhī thiiñ hamāre nasīb meñ
dil par hamāre harf-e-masarrat likhā na thā
'ma.asūm' ye bhī apne muqaddar kī baat hai
un kā milā surāġh to apnā patā na thā
tujh se mile baghair ye mujh ko pata na tha
wasl-o-firaq kya hai ye main jaanta na tha
aazad ho gaya main jahan ke KHayal se
lekin tera KHayal mujhe chhoDta na tha
main us ko dekhta tha baDe ishtiyaq se
lekin kabhi wo meri taraf dekhta na tha
tum kya KHafa hue ki KHafa ho gaya jahan
jab tum KHafa na the to koi bhi KHafa na tha
ek teri yaad hi thi meri manzil-e-talab
warna safar mein koi mera rahnuma na tha
mahrumiyan likhi thin hamare nasib mein
dil par hamare harf-e-masarrat likha na tha
'masum' ye bhi apne muqaddar ki baat hai
un ka mila suragh to apna pata na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.