tujhse milne ke liye KHud ko safar par rakkha
tujh se milne ke liye ḳhud ko safar par rakkhā
zindagī ne mirā ġham bār-e-digar par rakkhā
ḳhud diye maiñ ne jalā.e tirī aamad ke liye
aur havāoñ ko tirī ḳhair ḳhabar par rakkhā
kaafī kuchh haarā huuñ maiñ aur baḌī mehnat se
āshiyāñ maiñ ne to sarsabz shajar par rakkhā
is masīhā ne miyāñ zaḳhm diye ḳhud mujh ko
aur ilzām kisī aur bashar par rakkhā
merī manzil meñ rukāvaT na banegā 'hamza'
us ne patthar jo mirī rāhguzar par rakkhā
tujh se milne ke liye KHud ko safar par rakkha
zindagi ne mera gham bar-e-digar par rakkha
KHud diye main ne jalae teri aamad ke liye
aur hawaon ko teri KHair KHabar par rakkha
kafi kuchh haara hun main aur baDi mehnat se
aashiyan main ne to sarsabz shajar par rakkha
is masiha ne miyan zaKHm diye KHud mujh ko
aur ilzam kisi aur bashar par rakkha
meri manzil mein rukawaT na banega 'hamza'
us ne patthar jo meri rahguzar par rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.