tujhse milne ki aarzu hai bahut
tujh se milne kī aarzū hai bahut
is liye terī justujū hai bahut
zindagī ke nigār-ḳhāne meñ
ek maiñ aur ek tū hai bahut
nāseh-e-mohtaram ḳhudā-hāfiz
aaj itnī hī guftugū hai bahut
gardish-e-vaqt tujh se laḌne ko
in ragoñ meñ abhī lahū hai bahut
saarī duniyā kī beTiyāñ sun leñ
is ġharībī meñ aabrū hai bahut
tujh se milne ki aarzu hai bahut
is liye teri justuju hai bahut
zindagi ke nigar-KHane mein
ek main aur ek tu hai bahut
naseh-e-mohtaram KHuda-hafiz
aaj itni hi guftugu hai bahut
gardish-e-waqt tujh se laDne ko
in ragon mein abhi lahu hai bahut
sari duniya ki beTiyan sun len
is gharibi mein aabru hai bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.