tujhse rishta na koi KHas shanasai hai
tujh se rishta na koī ḳhaas shanāsā.ī hai
phir bhī ik umr se dil terā tamannā.ī hai
ab ke ummīd-e-vafā bāñdh rahā huuñ jis se
log kahte haiñ ki vo shaḳhs bhī harjā.ī hai
dil kī har baat se inkār bhī nā-mumkin hai
maan lene meñ bhī andesha-e-rusvā.ī hai
ḳhud hī vo dard banā ḳhud hī davā ban baiThā
ḳhuub us shaḳhs kā andāz-e-masīhā.ī hai
ab ke yuuñ TuuT ke bikhrā huuñ kisī kī ḳhātir
mujh ko ḳhud apne bikharne kī sadā aa.ī hai
māntā huuñ tirī āñkheñ bhī Dubo detī haiñ
lekin apne bhī ḳhayālāt meñ gahrā.ī hai
jā-ba-jā ḳhaak pe TuuTe hue par bikhre haiñ
ḳhuub bulbul ne chahakne kī sazā paa.ī hai
sun ke merī vo javāñ-marg kā bole 'shāhid'
kyā vo shā.ir jo mire naam kā saudā.ī hai
tujh se rishta na koi KHas shanasai hai
phir bhi ek umr se dil tera tamannai hai
ab ke ummid-e-wafa bandh raha hun jis se
log kahte hain ki wo shaKHs bhi harjai hai
dil ki har baat se inkar bhi na-mumkin hai
man lene mein bhi andesha-e-ruswai hai
KHud hi wo dard bana KHud hi dawa ban baiTha
KHub us shaKHs ka andaz-e-masihai hai
ab ke yun TuT ke bikhra hun kisi ki KHatir
mujh ko KHud apne bikharne ki sada aai hai
manta hun teri aankhen bhi Dubo deti hain
lekin apne bhi KHayalat mein gahrai hai
ja-ba-ja KHak pe TuTe hue par bikhre hain
KHub bulbul ne chahakne ki saza pai hai
sun ke meri wo jawan-marg ka bole 'shahid'
kya wo shair jo mere nam ka saudai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.