tujhse yun yak-bar toDun kis tarah
tujh se yuuñ yak-bār toḌūñ kis tarah
maiñ qadam tere ye chhoḌūñ kis tarah
ghar se bābar tū na niklā tā-hanūz
tere dar par sar na phoḌūñ kis tarah
mai se taa.ib thā va-lekin aaj pī
haath lag jaave to chhoḌūñ kis tarah
ābrū-e-abr yaañ manzūr hai
aah maiñ dāman nichoḌūñ kis tarah
saaf dil kyūñ-kar karūñ tujh se bhalā
TuuTī ulfat phir ke joḌūñ kis tarah
shauq se tū haath ko mere maroḌ
maiñ tirā panjā maroḌūñ kis tarah
vaqt bosa ke ye 'inshā' se kahā
tujh se maiñ phir muñh na moḌūñ kis tarah
tujh se yun yak-bar toDun kis tarah
main qadam tere ye chhoDun kis tarah
ghar se babar tu na nikla ta-hanuz
tere dar par sar na phoDun kis tarah
mai se taib tha wa-lekin aaj pi
hath lag jawe to chhoDun kis tarah
aabru-e-abr yan manzur hai
aah main daman nichoDun kis tarah
saf dil kyun-kar karun tujh se bhala
TuTi ulfat phir ke joDun kis tarah
shauq se tu hath ko mere maroD
main tera panja maroDun kis tarah
waqt bosa ke ye 'insha' se kaha
tujh se main phir munh na moDun kis tarah
- Kulliyat-e-inshaallah khan insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.