tujh tak bacha ke lai hai meri jabin mujhe
tujh tak bachā ke laa.ī hai merī jabīñ mujhe
varna to dil-nashīñ the bahut kufr-o-dīñ mujhe
mujh ko vo chehra ḳhvāb meñ dekhā huā lagā
dekhā huā thā us ne bhī shāyad vahīñ mujhe
taqsīm karne vaale ne aisā karam kiyā
añgushtarī kisī ko milī aur nagīñ mujhe
mujh par atā-e-ḳhās hai sāñpoñ ke baab meñ
rakhtī hai ḳhud-kafīl mirī āstīñ mujhe
darbār meñ bulāyā gayā huuñ na jaane kyuuñ
aatā nahīñ kuchh bhī sivā.e nahīñ mujhe
tujh tak bacha ke lai hai meri jabin mujhe
warna to dil-nashin the bahut kufr-o-din mujhe
mujh ko wo chehra KHwab mein dekha hua laga
dekha hua tha us ne bhi shayad wahin mujhe
taqsim karne wale ne aisa karam kiya
angushtari kisi ko mili aur nagin mujhe
mujh par ata-e-KHas hai sanpon ke bab mein
rakhti hai KHud-kafil meri aastin mujhe
darbar mein bulaya gaya hun na jaane kyun
aata nahin kuchh bhi siwae nahin mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.