tujhe achchha bura jaisa laga hun
tujhe achchhā burā jaisā lagā huuñ
vo terā aks hai maiñ aa.ina huuñ
agar maiñ ek nanhā sā diyā huuñ
havā kī zad pe kyuuñ rakkhā gayā huuñ
maiñ ik ik saañs kaT kaT kar jiyā huuñ
maiñ jiine kā salīqa jāntā huuñ
maiñ apne aap huuñ ḳhud apnā qātil
maiñ apne aap apnā marsiya huuñ
sabhī dīvāne kahte haiñ 'asīr' ab
ki in meñ maiñ hī ik suljhā huā huuñ
tujhe achchha bura jaisa laga hun
wo tera aks hai main aaina hun
agar main ek nanha sa diya hun
hawa ki zad pe kyun rakkha gaya hun
main ek ek sans kaT kaT kar jiya hun
main jine ka saliqa jaanta hun
main apne aap hun KHud apna qatil
main apne aap apna marsiya hun
sabhi diwane kahte hain 'asir' ab
ki in mein main hi ek suljha hua hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.